Friday, September 9, 2011

Main aur Zindagi - 2

         Please do read Part 1 before reading this For part-1 Scroll down or simply Click Here
                 Main apni dhun me rukta-chalta apni raah par chala ja raha tha. Sab kuch bahut acchha lag raha tha. kuch samay ko to aisa laga ki Maine apni dhun me chalet hue abhi se Zindagi ko bahut piche chor diya hai aur Zindagi ko sochne par majboor kar diya hai.
Lekin,              Achanak agle mode par pata chala ki ye sab to dhokha hai vastav me Zindagi  Mujhse bahut aage nikal chuki thi aur Main bahut piche rah gaya tha. Ek baar to mere kadam tithak gaye ki ab main Zindagi ke paas kaise pahuchunga ???

Tabhi usi Sitare ne Mujhe fir se pukara aur kaha ki “lagata hai ki Tum haar gaye ho”.
“Aaj Zindagi tumse bahut aage nikal chuki hai aur Tum to abhi bhi lagbhag wahi ke wahi khade ho khaali haath, Tum kuch bhi na kar sake kuch bhi na paa sake. Zindagi kahi ruki nahi wo chali aur chalti hi rahi lekin Tum ruk gaye aur haar gaye.”

Ye Sunkar Maine ek baar fir Zindagi ko dekha jo ki bahut door nikal chuki thi fir maine ek gahri saas li aur Muskarate hue us Sitare se kaha: -
“Tum bhi to yahi ho Mere saath ho! Aur apne aas-paas dekho Tumhare jaise Bahut se aur khade hai Mere Saath aisa nahi ki maine kuch nahi kiya Maine bahut se lamho ko jiya aur bahut se Dost banaye Aisa nahi hai ki Main kuch bhi na PAA saka Mujhe mile hai bahut sare Dost aur bahut sare lamho ko jeene ka Mauka aur jo waha ja rahe hai na.... 'Zindagi ke saath' Unhone Zindagi ‘BITAYI’ hai ‘JEE’ nahi hai lekin Maine Zindagi ‘JEE’ hai aur iske har ek pal ka LUTF uthaya hai chahe wo Meri JEET ho ya HAAR ho, Maine har pal se kuch seekha hai.
                        Aur jo Main ruka hu, ye mat bhulo ki har Patjhad ke baad Basant aur har Raat ke baad ek Nayi Subah aati hai aur Tum is baat ko bhi mat bhulo ki ek aisa mod ayega jahan se Zindagi char to kya ek kadam bhi aage nahi ja payegi  tab Zindgi mera intzaar karegi aur main...............








Tab bhi yu hi chalta rukta apni raftar aur dhun se waha pahuch jaunga 1 pal ruk kar Zindgi ko dekh kar muskaraunga........ Beete safar ko 1 nazar dekh apne kadam fir badhaunga| thik usi pal Main Zindgi se jeet jaunga.'
Main apni haar par bhi muskarata rha tha aur jeet par bhi magar Zindgi apni jeet par bhi muskara na pai thi aur haar par bhi........”

No comments:

Post a Comment