Ye Zindagi bhi kya kya rang dikhati hai
Kabhi dikhati Aasmaan to kabhi zamin par girati hai
Kabhi Arsh hai to kabhi Farsh hai
Kabhi Gam hai to kabhi Harsh hai
Kabhi hoti hai Khusiyo ki sawari, to
Kabhi lag jati hai har kadam ko bimari
Kabhi to lagta hai ki Sara Jahan kar lenge muthhi me
Kabhi Jameen par chalne ke liye bhi Raste nahi milte,
Kabhi to paraye bhi dete hai har kadam par saath to
Kabhi bahut khaas bhi paas nahi dikhte.
Humnein bhi har tarah ke mahaul dekhe hai
Jeet ki khusi manayi hai to
Saath me haar-haar kar khaak bhi chani hai
Kabhi humnein Zindagi ko buri tarah haraya hai to
Kabhi khud bhi Zindagi se haar maani hai
Kabhi Zindagi hamari muthhi me hoti hai to
Kabhi hum Zindagi ke bus me hote hai,
Kabhi badi aasani se lete hai Zindagi ka har faisala to
Kabhi kya kare kya na kare isi kasam-kash me hote hai.
Kabhi hoti hai aas-paas kevel khusiya to
Kabhi har taraf gam hi gam hote hai
Kabhi to apni haar par bhi haste hai to
Kabhi jeet kar bhi ro rahe hote hai.
Ye Zindagi bhi kya-kya roop dikhati hai
Kabhi ye bahut HASATI hai to kabhi bahut RULATI hai……………..
No comments:
Post a Comment